Thursday, April 19, 2012

ilzamat-e-sahaba

Msg,s k zriy sahaba ikraam(r.a)pe lgay jany waly ilzamaat;

(1)
ilzam-e-ABU BKKR SIDDIQ(r.a)

Q no 1
bag-e-fidaq mn Hzrt Fatima(r.a)ko hissa deny se inkaar kis ny kia?
Ans;(Abu Bkkar)
sboot(Bukhari jild no 2)
-----------------------------
kuch loog dosron ko gumrah krny k liy QuRaan-o-Hdees se namukmml baaten logon mn phela dety hen;
Ye aik na Mukamml Bat hy,jo k Hdees se Uthai gi hy;

Mukmml Hdees Kuch is trha se hy;
------------------------------------------
Nbi Pak(s.a.w.w)
ki wfat k bad hzrt Fatima(r.a.)

or

hzrt Abbas(r.a)Hzrt Abu Bkkr(r.a)k paas Nbi Pak (s.a.w.w)k Maal(jaydad)mn se hissa leny k liy aay,,

Hzrt Abu Bkkr(r.a) ny joab dia k mn ny Nbi Pak (s.a.w.w)sy suna hy k ham Peagambron ka koi waris nhi hota,

jo maal ham chor jaen woh sadqa hy,

haan albtta AAP(s.a.w.w)k Aal Aolad un k chory hoy maal sy khaty peety rhen gy,

(jesy Nbi Pak(s.a.w.w)ki zindgi mubark mn khaty peety thy)

phir Hzrt Abu Bkkr(r.a)ny frmaya,

khuda ki qsm jo kaam Nbi Pak(s.a.w.w)kia krty thy,mn b wesa hi kron ga,mn un ka aik kaam b chorny wala nhi,
(kahen aisa na ho k mn aisa kron jesa aap log chah rhy ho to mn gumrah na ho jaon)

ye sun kr Hzrt Fatima(r.a)Hzrt Abu Bkkr se naraz ho gain(lekin bad mn Hzrt Abu Bkkr(r.a)ne Hzrt Fatima ko smjhaya or woh razi ho gin)

(Bukhari jild no 6)
(Hdees No 439)
(ch No 209)
--------
Tfseer
--------
Hzrt Abu Bkkr(r.a)ka mqsd Hzrt Fatima(r.a)ko naraz krna nhi tha

blky

Nbi Pak(s.a.w.w)ka frman un tak punchana tha;
jo k unhon ne apny kaano se suna tha;

or Hzrt Fatima(r.a)Nbi Pak(s.a.w.w)k is frman se be khbr then;

agr Hzrt Fatima(r.a)Nbi Pak(s.a.w.w)k is Frman se bakhbr hoten tu woh kbi b Maal mn se hissa Leny ki garz se na aaten;

agr Hzrt Abu Bkkr(r.a)ka mqsd khuda nakhwasta un ki jaydad gasab krna hota tu woh Nbi Pak(s.a.w.w)ki zindgi mubark mn apni sari jaydad Nbi Pak(s.a.w.w)k qdmon mn q rkhty..?

Hzrt Abu Bkkr(r.a)Nbi Pak(s.a.w.w)k maal k malik nhi thy;

Nbi Pak(s.a.w.w)ki spurdgi btur-e-intzam thi na k btur-e-tmleek;

or Hzrt Abu Bkkr(r.a)ne Nbi Pak(s.a.w.w)k maal ko wesy he khrch kia jesa k AAP(s.a.w.w)apni zindgi mubark mn khrch krty thy;;
------------------
is hdees se pta chlta he k Nbi Pak(s.a.w.w)ki shriyt ko tbdeel krny ki ijazt AAP(s.a.w.w)k Qreebi dost Hzrt Abu Bkkr(r.a)ko b na thi;

agr Nbi Pak(s.a.w.w)ki baat ko tbdeel krna aasan hota(gunah mn shamil na hota)tu sab se pehly Hzrt Abu Bkkr(r.a)AAP(s.a.w.w)k frman ko AAP(s.a.w.w)ki Lkht-e-jigr Hzrt Fatima(r.a)k liy tbdeel krty;
------
Nbi Pak(s.a.w.w)ka frman he k;
jis ne hmary deen mn nai baat nikali jo is mn nhi thi woh MARDOOD he;
(Bukhari-o-Muslim)
-----------------------
hmari roz mrah zindgi mn kitny hi amal aysy hn jin ko ham swaab smjh k krty hen;

halan k

un ko agr QuRaan-o-Hdees k trazoo mn tola jay to woh bilkul be wzan hen;

Ham Peson k moamla mn khoob chan been krty hen..kisi aik not mn agr thori c b khrabi ho to ham us ko qbool nhi krty;

kea??????????????

hmara deen or imaan itna sasta he k ham us ko bila tehqeeq hr suni sunai baat ko aankhen band kr k qbool kr lety hen.?

Eilm ye he k suno,prkho,agr woh Bat QuRaan-o-Hdees mn mojod ho to us ko amal mn lao,or dosron tak punchany ki koshiss kro;;

ab aaty hn Q No 2 ilzam-e-Umr(r.a)ki trf;
--------------------------------------------------
Q No(2)
jab Nbi Pak(s.a.w.w)ne aakhri wqt qalam doaat manga tu kis ne deny se inkar kia?

Ans:(Umar)
sbot(Bukhari jild 2)
-----------------------
mukml hdees kuch is trha se he
--------------------------------------
jab Nbi Pak(s.a.w.w)ki wfat ka wqt hoa,
us wqt ghar mn chand log thy,jin mn Hzrt Umar(r.a)b thy;

Nbi Pak(s.a.w.w)ne frmaya,mery pas likhny ka saman lao,mn tumhen aisi bat likh don jis k baad tum gumrah nah ho gy;

Hzrt Umar(r.a)ne kaha AAP(s.a.w.w)pe bimari ka glba he(or shdeed tqleef mn AAP(s.a.w.w)ko or tqleef dena achi bat nhi)

is baat pe sahaba mn jhgra hony lga,jab shour zeada hoa tu AAP(s.a.w.w)ne frmaya mery pas se uth jao;

(Bukhari jild No 4)
(Hdees No 427)
---------
Tfseer
--------
Hzrt Umar(r.a)tmam sahaba mn bry aaqal or door andeash thy,or seast madan or intzami amoor mn be misaal thy,un ko ye dar hoa kahen bimari ki shiddt mn AAP(s.a.w.w)kuch likhwaen,or shayd AAP(s.a.w.w)ki zubaan mubark se koi aisa lafz na nikl jay..jis par munafqoon ko tan-o-tshnee ka moqa mily,

Hzrt Umar(r.a)ki niyyt MaaazALLAH AAP(s.a.w.w)ki mukhalfat ki na thi,

Bil Farz

Hzrt Umar(r.a)ki ray galt thi,tu Nbi Pak(s.a.w.w) is waqea k baad 3 ya 4 din zinda rhy,Agr AAP(s.a.w.w)ko mnzoor hota tu baad mn b likhwa skty thy,ya usi wqt israar Frmaty...tu kis ki mjaal thi AAP(s.a.w.w)k hukm ki khilaf warzi krta,or bad mn khud Nbi Pak(s.a.w.w)ne Hzrt Umar(r.a)ki raay se itfaq kia;

ab aaty hn ikhtlaf No 3 Ilzam-e-Usman(r.a)ki janib;
------
Q No(3)
QuRaan-e-Pak ko iktha kr k jlany ka hukm kis ny dia?

Ans;(Usman)
sboot Bukhari jild No 2
-----------------------------
AstagfiruALLAH
---------------------
Mukaml hdes kuch is trha se hy k....Hzrt Huzafa(r.a)Hzrt Usman(r.a)k pas aay;woh kuch ghbray hoy thy..unhon ny kuch logon ko QuRaan ki Qirat mn ikhtlaf krty hoy suna;

or woh Hzrt Usman(r.a) k pas aay or kaha k ay ameer ul momenen is se pehly k loog yahod-o-nsara ki trha QuRaaN mn ikhtlaf kren lgen is ummt ki khbr lijiy(in ko aik bhot bri museebt se bcha lijiy)

ye sun kar Hzrt Usman(r.a)ny hzrt Hfsa(r.a) ko pegam bheja k apna Musahaf hmary pas bhej dn,ham un ki naqal utar kr wapis kr den gy; (or dosry sahaba se b Musahaf ly liy gy)

jab Muasahafon ko tayyar kr lia gea tu unhon ny Hzrt Hfsa(r.a)ka musahaf tu wapis kr dia,or aik aik musahaf(Quraan)har aik mulk mn bhej dia; or jo alag alag prchy thy un ko(Quraan k hroof dhony k bad zaya krny ka hukm dia)
(Bukhari jild no 4)
(Hdees No 962)
---------------------------------
Tfseer
-------
jo Quraan k alag alag pag thy woh kuch to khjor k ptton pe likhy thy,or kuch pthron pe,,jab un ko aik trteeb mn likh dia gea tu(is dar se k loog in alag prchon se QuRaaN ki trteeb na tbdeel kr len)un ko zaya krny ka hukm dia...or zaya krny se pehly tmam sahaba ki mojodgi mn un musahaf ko dhoya gea phir zaya kia;;

aap khud insaf kren k agr Hzrat Usman(r.a)aisa na krty tu aaj Muslmano mn tfseer k ikhtlaf k 7th 7th trteeb mn b ikhtlaf hota;

ALLAH Pak ham sab ko QuRaaN-o-Hdees smjhny ki tofeeq dy
AMiiiiiiiiiiiiiiiiN


(Writer HaNta Butt)

Sunday, April 15, 2012

Anmool

Mayos woh hota hy jo ALLAH pe yqeen nhi rkhta,or mehrom woh hota hy jo ALLAH ki di hoi by shumar nemton ka shukr ada nhi krta;

Anmool,

agr koi poochy zindgi mn kea khoya kea paya tu bila jhijhk keh dena,k jo kuch khoya woh meri nadani hy,or jo kuch paya woh mery RAB ki mehrbani hy;

Thursday, April 12, 2012

Anmool

(1)
achi kitab insan k liy zindgi ka srmaya hy
(2)
mzloom ki dua ki mqboliat mn koi shubah nhi
(3)
zeada khana kund zehan bnata hy
(4)
agr tum daolat mand bn'na chahty ho to jitna kmaty ho us se kam khrch kro

Anmool

dunia mn sab se zeada mushkil kaam apni islah hy
or sab sy zeada aasan dosron pe tnqeed

Anmool

jo khuda se drta hy
us se sab drty hn

Tuesday, April 10, 2012

Nice Poetry,


ahsaas-e-ndamt aik
sajda or chashm-e-num

ay ALLAH tujh ko
manana kitna aasan hy

Monday, April 9, 2012

Anmool



kalma tayyba




Anmool,


Al Hdees



Al Hdees



Hamad

saza deny wala
jaza deny wala

woh sary dukhon
ki dwa deny wala

koi sidq-e-dil se
moafi tu mangy

woh bkhshish k
dria bha deny wala

abu jehl k hath mn
thy jo kankar

woh un ko b klma
prha deny wala

woh chahy tu
gulshan ko weran
kr dy

woh sehra ko
gulistan bna
deny wala

nhi us ka saani
zmany mn koi

woh yakta he sab
ko mita deny wala

zra gaur tu kr too
qbron pe ja kr

woh miti mn heery
mila deny wala

ALLAH is tha greatest

Nice Poetry,

sitaron se aagy jhan or b hen

wahan noor ki bstian or b hen

mn oopr he oopr ko chrhta rhon ga

abhi eilm ki seerian or b hen

bhlai ki baten btaon ga sab ko

bhlai ki sar garmian or b hen

mn khob ammi abbu ki khidmat kron ga

ye jannt ki 2 chabian or b hen

bhron ga abhi or b apna damn

mery saamny nekian or b hen

kuch agly jahan ki b tyyari kr lon

whan kuch bary imtehan or b hen

sitaron se aagy jahan or b hen

wahan noor ki bstian or b hen

Sunday, April 8, 2012

Dua


ay ALLAH kufr ko ruswa
kr or haq ka prcham
lehra dy

ay ALLAH too bkhshiss
kr de dil bahmi ulft se
bhar dy

ye bugz-o-reya se door
rhen or sulho skon se
shad rhen

ay ALLAH haq ko nusrt
dy or batil ko neecha
dikhla dy

jo Nbion ko jhotlaty hn
inhen tery gzb ki maar
pry

ay ALLAH tery deen k
liy jo qeid hoy jo jal gy

dushmn k aqoobt khano
mn hr aai bla se khel gy

mahboob mujahid bndon
pr ya Rab teri imdad utry

ay ALLAH bhej frishton
ko teri rahmt k haq daar
hn ye

jo badr k meedan mn utry
us nusrt k haq daar hn ye

ya Rab ham saayl hn tery
hmn drny wala dil dy dy

har wqt zubanen zikr krn
ye showq hmen qamil dy
dy

mqbool namazon ko frma
bemaron ko seht ata kr dy

kr jhot se pak zubano ko
ay ALLAH bra kreem
he too

ham sab k zahir-o-batn ka
ay ALLAH khbeer-o-alem
hy too

ya rab rery dar se hat kr koi
jaay pnah nhi

jo mushkilen door kry sab
ki aisi tu koi dar gah nhi


ay ALLAH kufr ko ruswa
kr

ay maola kufr ko ruswa
kr

ya Rab kufr ko ruswa
kr

oo khudaya kufr ko
ruswa kr

or haq ka prcham
lehra dy
AMiiiN

Al Hdees


Names of ALLAH


Nice Poetry

(SHAN-E-MOHAMMAD s.a.w.w)

phir thaam le gar prchm-e-aelan-e MOHAMMAD(s.a.w.w)

cha jaen gy dunia mn gulaman-e MOHAMMD(s.a.w.w)

aaqa ne dia ham ko jo manshor bholaya

ummt ka freeza na gaya ham se nibhaya

taareekh ne b auoj se pasti min giraya

tqdeer ne agiyaar ki chokht pe giraya

bhtky hoy laot aaen jo drbaan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

begana-e-toheed hen toheed k farzand

tagooti khudaon ki khudai k hen paband

har taoq ko grdan mn sjany k rza mand

mumkin nhi islaam ka ilhaad ka peawand

momin k liy kafi he frman-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

batil k dsaateer se brbad he kab se

muslim he mgr khongr-e-ilhad he kab se

afsana-e-gamnak he fryad he kab se

chai he fiza zulm ki nashad he kab se

mehkay ga hasti ko gulstan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

khutbaat mn hen showla beano k ta,assub

firqoon k qabeelon k beano k ta,assub

qutteaon k or oonchy ghrano k ta,assub

psmandgi or khokhli shano k ta,assub

dunia min musawat ka arman-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

aazadi ka aaein MOHAMMAD(s.a.w.w)ki gulami

insan ki bhlai ki he tdbeer dwami

dunia k liy amn-o-akhowt ki slami

zalim k liy qehr-e-eilahi ki peami

hr drd ka drman he drman-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

islam zmano ki qayadt k liy he

qomon k imamon ki imamt k liy he

hr zulm rseda ki hifazt k liy he

sr teagon k say mn ibadt k liy he

kirdar-o-amal chaiy shayan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

ham loog hen aasaysh-o-dunia k tlab gar

pamaliy kirdar se ifkar he bemar

is daowr k muslim pe he ieman sharmsar

he shart agar showqt-e-islaf he drkar

seeno min bsa lijiy Quraan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

islam ne insan ko tehzeb sekhai

dr gowr khwateen ko toqeer dilai

ikhlaq rwayat ki bunyad uthai

mfqood hoi dehr se nafrt ki lrai

hr aik zmany mn he aehsan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

mkkar loteron ko qyadt se hta kr

aaraysh-e-bazar ta,auush ko mita kr

kuchly hoy jzbat ko toofaan bna kr

batil k mehllat ki buniyad hila kr

meedan mn dat jaen gy fidayan-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

hr simt muslman ka lahoo seal-e-rwan he

har aik reast pe qeamt ka guman he

afzal nsheman pe giri brk-e-tbah he

laot aao yahi saya-e-rehmat he aman he

deti he sada wosat-e-daman-e-MOHAMMD(s.a.w.w)

chaa jaen gy dunia mn gulaman-e-MOHAMMAD(s.a.w.w)

Friday, April 6, 2012

Naat

Nazm

Names of ALLAH

Story Of HEERA

HEERA ki kakhani
Us k
ChCha ki Zubani
!
(Ye Aik Sachi kahani he)
!
Agr min kahon k jab se dunia qaym
hoi he;aaj tak ka min dunia ka
zalam treen
bad treen

drinda sift
!
lekin
!
khushqismt insan hon;
to
yeh mera sacha taaruf ho ga;
!
min muzaffr nagr bhotana muslim
raaj poot waly gaon min aik heer k
ghar 43 saal pehly peda hoa;
!
mera talluk aik jraym pesha khandan
se tha;
!

min ne 25 muslmano ko apny haathon
se qatal kia;
!
soort brooj shayd mery liy hi utri he;min
ye kahani is liy suna raha hon,k shayd mera
islaam qbool krna kisi k liy
mshal-e-rah bn jay;
!
meri oolad nhi he,mery bary bhaai
sahib-e-oolad hen.un ki sab se bari
beti ka naam tha (HEERA)
!
HEERA aik khush ikhlaq,zinda dill
or bahadur lrki thi,us ki wjha se
hmary ghar min roonq rehti thi;
!
HEERA ko parhny likhny ka bhot
shaoq tha.aik din us ne apny baba
se kaha,min aagy parhna chahti hn;
!
us k baba ne kaha k mery pas kitabon
k liy pesy nhi hen;
!
HEERA ne 8 din kheton min kaam kia
or jo pesy mily un ki kitaben khreeden
or school jiny lgi;
!
scool min aik muslman lrki se HEERA
ki dosti ho gi;
us ne aik islami kitaab HEERA Ko gift
ki,min ne jab muslmano ki kitab
HEERA k pas dekhi to HEERA ko bhot
mara;
!
or us ka school jana band kr dia,min is
baat se bekhabr tha k HEERA islaam
qbool kr chuki he;
!
ab woh pehly jesi HEERA nhi rahi thi,
woh har waqt gum sum khamosh or
preshan rehti thi;

!
kuch arsy k baad HEERA ki maan bimar
rehny lgi,HEERA apna sara wqt maan ki
khidmt min lga deti or 7th 7th maan ko
islaam qbool krny ko kehti;
!
Bil aa khr
!
us ki maan ne mrny se 2 din pehly islaam
qbool kr lia,
!
jab ham Bhabhi ko apny rsm-o-rwaaj k
mutabiq jlaany k liy lejany lgy to HEERA
ne bhot shwor kia;
!
woh muslsl chilla rahi thi,meri maan
muslman he us ko mat jlao
meri maan ko dafan kro
us ko mat jlao
!
ham ne us ki aik na suni,or us ki maan
ko jla dia,Bhabhi k Muslman hony par
ham ne HEERA ko btor-E-saza ghar se
nikaal dia;
!
ham HEERA ko aik door paar k Rishta
Daroon k haan chor aay;
!
thory he arsy k baad unhon ne kaha k
apni Beati ko le jaen ham is k Deen se
aajz aa chuky hen

!
or ham HEERA ko ghar le aay;
!
{agrchy boot hen jmaat k aasteenon mn}
{mujhy he hukm-e-azan lailaaha illALLAH}
!
ab woh sar-e-aam Deen-e-islaam ki Dawat
deti;
!
ham us ki wjah se bhot pryshan thy,phir aik
din min ne or mery bary bhai
(HEERA K WAALD)ne aik mshwra kia or
HEERA se kaha k tyyar ho jao tumhen
phopho k ghar chorny ja rhy hen:

!
woh tyyar hoi,nay kpry pehny or phir us
ne 2 noafl ada kiy,or khushi khushi hmary
7th chal di;
!
us ne raaste min aik dfa b nhi kaha k ye
raasta phopho k ghar ka nhi!
woh sab janti thi lekin woh bhot khush
thi,us k chehry pe zra b khowf nhi tha;
!
ham HEERA ko aik dria k kinary le gay,
wahan ham ne aik din pehly he garah
khood rkha tha;
!
ham ne HEERA ko us garhy min dala
!
or
!
aag lga di==jlti hoi HEERA ne apny
haath aasman ki trf uthay or kaha,
!
AY ALLAH TOO DEAKH RAHA HE NAA,
!
AY ALLAH AAP HEERA SE MOHBBT
KRTY HEN NAA,
!
AY MERY ALLAH AAP GAAR-E-HEERA
SE B MOHABBT KRTY HEN NAA,
!
OR IS GARHY MIN JALTI HOI HEERA
SE B MOHBBT KRTY HEN NAA,
!
AAP KI MOHBBT K BAAD MUJY KISI KI
MOHBBT NHI CHAIY,
!
YAA ALLAH PAK MERY BABA OR MERY
CHCHA KO ISLAAM KI DOLT NSEEB
FRMA
!
or phir kalma tayyba ki aawaz aany lgi
!
or ham jalti hoi HEERA ko choor kr ghar
aa gy
!
{jab tak na jlen deep shaheedon k laho se}
{kehty hn k jnnt mn chragan nhi hota}
!
jnnt mn aik or chraag rooshn hoa,
{inna lillah-e-wa inna ileh-e-rajioon}
!
HEERA ki shahadt k baad us k walid sirf
2 mah zinda rahy,or wfaat se 2...3 din pehly
unhon ne islaam qbool kia;
!
mujy aisa lga jesy kisi muslmaan ne hmary
ghar pe jaado kr dia ho;
!
aik aik kr k sary muslman ho rahe the,phir
aik din aisa hoa k mn aik bus mn swar hoa,
!
mujhy muzffr ngar jana tha,woh bus kisi
muslman ki thi,us mn aik qwali chal rhi
thi,
!
jis mn aik borhi aort ka zikr tha,jo Nbi
Pak s.a.w.w pe koora phankti thi;
!
mn ne jab woh waqea suna to socha ye
waqea jis Nbi s.a.w.w ka he woh jhota
nhi ho skta;
!
mn bhotana rod pe utra or aik muslman
aadmi se kaha k mn islaam k bary min
jan,na chahta hon;
!
unhon ne muje Mohammad kleem sab
ka pta dia,or phir mn ne 31 jnwry 2000
ko islaam qbol kia;
!
mn ne kleem sab ko HEERA k bary mn
btaya,woh bhot zeada roy,or kafi diar
roty rahy;
!
mn ne pocha kea khuda mujhy moaf kr
dy ga?
!
kleem sab ne kaha k islaam pichly sary
gunahon ko mita deta he,
!
ab mn dua krta hon k ay ALLAH mujh
se koi aisa kam ly k mery dill ko skon
mil jay;
!
or ab mn koshiss krta hon k kuch ach
kron,gujrat mn min ne hindo bn kr kai
hzar muslmano ki jan bchai;
!
mn hindo bn kr un ki jmat mn shamil
ho jata,or un k napak azaym ki khbr
moslmano ko de deta;
!
aik islami mdrssa mn 400 bchon ko
zinda jlany ka program mn ne nakam
bnaya;
!
aakhir mn min tmam muslmano ko aik
pegam dena chahta hon,k jab mn gear
muslim tha to us wqt hmara sab se bra
mishn ye hota tha,k muslmano ko un ki
kitab Quran se dor kia jay;
!
q k ham janty thy k is kitab mn bhot taqt
he,is kitab k zriy Mohammad s.a.w.w ne
sari dunia pe hkomt ki;
!
meri tmaam muslmano se guzarish he k
woh Quran ko smjh k prhen;
!
HEERA ne Quran nhi parha tha phir
b us ka ieman kitna mzbot tha,
!
or
!
moslmano k pas Quran jesi azeem
kitab mojod he or imaan sirf duniawi
fayda k liy
!
ALLAH se dua kijiy ga k ALLAH mujhy
sbr dy
AMiiiiiiiN
!
(writer HaNta Butt)

Dua

too
hmary gunahon k bawjood hmin rizq deta he
too
hmari sr kshion k bawjod unhen fash nhi
krta
too
rehm krny wala bra mehrban hy
hmary gunahon ko bkhsh dy
AMiiiiiiiiN

Nazm

Nazm

Anmool

ALLAH har jgah hazir-o-nazir he or woh aap k har amal se agah he;

Anmool

Sirf ALLAH se madad talab kro woh shah rag se b zeada Qreeb he;

Nazm

Anmool

tum mn se behtr woh he jo
QuRaaN seekhy or sekhy;

Hamad

Thursday, April 5, 2012

Anmool

zindgi mn kbhi b kisi ko kmzur smjh k mat stana

Q k

1 drakht se 1 laakh machis ki teelian ban skti hn

mgr

1 machis ki teeli 1 laakh drkht jla skti he,

Anmool

jab saanp zinda ho tu saanp chewntian khata he
mgr
jab saanp mar jata he tu chewntian usy khati hn
wqt
kbhi aik sa nhi rehta.

Al Hdees

p
a
k
MOHAMMAD(s.a.w.w)ne frmaya;
ALLAH Pak frmaty hin;
jab mn apny(muslman)bndy ki dono aankhen ly lyta hon,woh sabr krta hy to mn us k bdly mn us ko jn,nt ata krta hon;
(Bukhari Jild No 5)
(hdees No 612)

Anmool,

SABAR
eiman ki bunyad

SAKHAWAT
insan ki zeenat

SACHAI
haq ki zubban

NARMI
kamyabi ai kungi

Anmool,

jab koi kaam tumhari marzi k mutabiq ho jae to shukr ada kro k ALLAH ne tumhari mrzi ko itni ehmiyat di

or

agr tumhari mrzi k khilaf ho to or zyada shukar ada krna chahiye

Q k

ab wo ALLAH ki mrzi se ho ga jo hamari mrzi se behtr or boht afzal hain

Nice Poetry,


Nice Poetry

  • be amal ko dunia mn rahten nhin milten
  • doston duaon se jn,nten nhi milten
  • is nay zmany k aadmi adhory hn
  • soorten to milti hen seerten nhi milten
  • jo prindy aandhi ka saamna nhi krty
  • in ko aasmano ki riften nhi milten
  • be amal ko dunia mn rahten nhin milten
  • doston doaon se jn,nten nhi milten

Wednesday, April 4, 2012

Nice pictur


Anmool

1 yahodi ne 1 bzurg se poocha k jab ham ibadat krty hen to hmen koi khyal waswsa nhi aata,
jab k mn ne suna he aap log namaz prhty ho to zehn min bhot se khyalat aaty hen,
bzurg ne jwab dia 2 mkan hen 1 khali he or dosra heeron se bhra he,
btao chor kis mkan mn aay ga?
yahodi bola heeron waly mkan min;
bzurg ne jwab dia,
yahi haal kafir or muslman k dil ka hy,
jis ka dil pehly he imaan se khali ho wahan shetan kea leny jay ga?
SUBHANALLAH

Nice Poetry,

teri bargah mn ay khuda
jon he sir ko mn ne jhuka dia
usi wqt teri khudai ny
mujhy pstion sy utha dia
mn zlil tha mn hqeer tha
mn tery dar ka fqer hon
tony aik hi sajdy k badly mn
mujy kea se kea bna dia

Anmool

the most common problem is that
'we listen half ''
'we understand quarter''
'we think zero''
but
we react double;

Tuesday, April 3, 2012

  نہ کر بندیا تیری میری کجھ نئیں میری تیری چار دناں دا میلہ محمد فر مٹی دی ڈھیری